ShareThis

Monday, May 23, 2011

Apni parchai ki bewafai par heran hun main...

Apni parchai ki bewafai par
heran hun main...
kal tak lagti thi ye apni si,
aaj iske hone ki wajah par
pasheman hun main

Koi na tha sang mere...
par kadam kabhi ruke nahi,
parchai ko samjha kiya hum rah,
kabhi tanha mehsus kiya nahi

chanv ban jo chali sang mere
kadi dhup main...
jitni dur hoti rahi roshni
ye mili mujhe utne hi bade roop main

Aaj
ghane Andhkar main.........,

Sab kuch
Sab Kuch iske rang sa lag raha hey,
Ek pal khush tha iski bahon main...
magar ab dar sa lag raha hey,

Ab jab roshni kahin nahi hey
jaise kuch bhi nahi hey,

haqeeqat samjha kho kar har umeed

thi...wo to...
haqiqat me kismat ke andhere ka hi bas ek roop
Parchai...
Hum rah...
jise, aksar maine apna samjha

Apni parchai ki bewafai par
heran hun main...
kal tak lagti thi ye apni si,
aaj iske hone ki wajah par
pasheman hun main

No comments: