ShareThis

Friday, May 29, 2009

Gam ye nahi ke aaj wo hamare saath nahi

Gam ye nahi ke aaj wo hamare saath nahi

soch or taklif is baat ki hey, ke ab wo kis ke sahare honge

yaad hey hamain aaj bhi,
jab bhi girta tha unki aankhon se koi aansu...
hum apni bhi palkain kuch bhigin bhingi mehsus karte the..

ab jab girainge un palkon se moti....
sochte hain unhe samjhne walle kon or kitne honge..?

kai baar samandar ki ret par ek dusre ke kadmon ke piche chalte the
hathon main liye haath...

hathon main liye haath... na jane kitne hi sapne naye pirote the..
gam ye nahi ke un sapno main ab hum nahin...

soch or taklif is baat ki hey
ke ab wo jab naye sapne sanjoyenge...
unhe samajh dil ki dhadkan banane walle kon or kitne honge..?

youn to waqt bhi kaafi bit chuka hey...
mousam or duniya dono hi badal gaye hain..

is badlti duniyan main..
unhe apana kehne walle ab kon or kitne honge...?