ShareThis

Thursday, May 10, 2007

Ab kahan reh gaya hey hamare askon me nasha

Ab kahan reh gaya hey hamare askon me
wo puri botal ka nasha,
ab khwabon tak me tare todne ka hosla najar aata nahi,
ke ab to jo hey wo hey...
chehre par tapakti halat ki kasmkash hi bas...
ya fir waqt ke thepdon me pis kar
me bhi bas ban kar reh gaya hun ek aam insan
By: Krishna Kumar Vyas