ShareThis

Wednesday, January 20, 2010

Janta hun main, Ke tu bewafa hey,

Janta hun main,

Ke tu bewafa hey,

Magar sanson ko ab bhi is baat par aetbar nahin.

Sansne bhi Kya karin...

Ke dil mana kar deta hey... dhadkne se,
jab tak ke ye tera naam na le lain

Sochta hun khatm kardun ye kasmakah,
so jaun mout ki agosh main,
magar kambakth ye dil...

magar kambakth ye dil,
tere didar ke bina
marne se bhi inkar kar deta hey..

Sunday, January 17, 2010

Ab is chirag ko kon bujhaige,

Ab is chirag ko kon bujhaige,
meri tarah ye bhi jala hey ta umr
oron ke liye

aaj jab aakhri...
aaj jab aakhri sanse le raha hun
to koi sikwa nahi bewafa duniya se

bas sochta hun is chirag ke bare main
ke kitna bebas hey ye jalne ke liye

mujh par to reham aa gaya khuda ko..akhir
na jane ab ye kab tak jalta jayega

aisa kon bacha hey jo ab "bewafa" nahi

Kai dino se khamosh hey is sayar ki "Kalam",
Ke "Kalam" ke chalne ke liye...
khune jigar aaj kal ise milta nahi,

"Majnu" kho gaye hain, sare jahan se,
ke laila ki tarah bhi to ab, sar-e-bajm
benakab ho koi lad marne ko tayar nahi

Kiska dard batain, kiske aansu ponche hum,
aisa kon bacha hey jo ab "bewafa" nahi