jeevan ki raah ke kuch palon ka anubhav...किस्मत के हाथों बँधे इन निगाहों ने ना जाने क्या क्या देखा.. पर देखा जिसे बस खूने जिगर पीते देखा, पहले रोते थे मरने वालों पर... अब आँखें छलक गयी जब किसी को जीते देखा| Kismat ke hathon bandhe in nigahon ne, na jaane kya kya dekha... par dekha jise bas khune jigar pite dekha... pahle rothe the marne valon par.. ab aankhain chalak gayi jab kisi ko jite dekha
Tuesday, March 23, 2010
Wednesday, January 20, 2010
Janta hun main, Ke tu bewafa hey,
Janta hun main,
Ke tu bewafa hey,
Magar sanson ko ab bhi is baat par aetbar nahin.
Sansne bhi Kya karin...
Ke dil mana kar deta hey... dhadkne se,
jab tak ke ye tera naam na le lain
Sochta hun khatm kardun ye kasmakah,
so jaun mout ki agosh main,
magar kambakth ye dil...
magar kambakth ye dil,
tere didar ke bina
marne se bhi inkar kar deta hey..
Sunday, January 17, 2010
Ab is chirag ko kon bujhaige,
Ab is chirag ko kon bujhaige,
meri tarah ye bhi jala hey ta umr
oron ke liye
aaj jab aakhri...
aaj jab aakhri sanse le raha hun
to koi sikwa nahi bewafa duniya se
bas sochta hun is chirag ke bare main
ke kitna bebas hey ye jalne ke liye
mujh par to reham aa gaya khuda ko..akhir
na jane ab ye kab tak jalta jayega
Subscribe to:
Posts (Atom)