jeevan ki raah ke kuch palon ka anubhav...किस्मत के हाथों बँधे इन निगाहों ने ना जाने क्या क्या देखा.. पर देखा जिसे बस खूने जिगर पीते देखा, पहले रोते थे मरने वालों पर... अब आँखें छलक गयी जब किसी को जीते देखा| Kismat ke hathon bandhe in nigahon ne, na jaane kya kya dekha... par dekha jise bas khune jigar pite dekha... pahle rothe the marne valon par.. ab aankhain chalak gayi jab kisi ko jite dekha
Sunday, January 17, 2010
Wednesday, January 13, 2010
Ae mere askon
Ae mere askon
youn sar-e-bajm, mujhe badnam na karo
ja raha hey mehboob mera,
Odhlo kafan muskurahat ka, ke has ke use rukhsat karo
jo tum bahoge, kuch na kuch kahani kahoge...
jo anmol hain pal, meri jindgani ke liye
unhe youn sar-e-bajm nilam na karo...
kismat ka mara hun, bewafai ka sataya hun
us befa dil bar ki jagah tumhe de ...di hey dil main
kam se kum ae askon..
tum to kuch wafa karo...
Odh lo kafan muskurahat ka
Ja raha hey mehboob mera, to use has ke rukhsat karo
Friday, January 1, 2010
Dil ke kisi kone main eak aansu ab bhi pada hey
Aaj Jab Muskuraya to yaad aaya
Dil ke kisi kone main eak aansu ab bhi pada hey
Jahan tak yaad hey mujhe..
Tera mera karwan... saath saath hi to chala tha
Aaj bhi jab dekha mudkar... Tum Paas hi to khade the... Magar
Andaj Kuch badal sa gaya tha..
Meri Hathe-liyon par jo likha tha naam numne hi apna..
wo kuch dhundla sa gaya tha...
Main ghabraya.... Main Ghabraya, chaha jab tum se.. Ankhain Milana
Paya... tu to Najrain Chura raha tha...
Waqt badal gaya hey... Suraj bhi Dhal Raha hey
Kehke Kanto ko sadabahar...
Tu mujhe Mera aane walla kal bata raha tha...
Aaj Muskuraya to yaad aaya...
Ab barson baad... koi gum nahi... Tujhse koi sikayat bhi nahi...
Tu to tha jo tha... main hi tha jo pathar ko samjh hira..
Sab kuch luta raha tha...
Subscribe to:
Posts (Atom)