jeevan ki raah ke kuch palon ka anubhav...किस्मत के हाथों बँधे इन निगाहों ने ना जाने क्या क्या देखा.. पर देखा जिसे बस खूने जिगर पीते देखा, पहले रोते थे मरने वालों पर... अब आँखें छलक गयी जब किसी को जीते देखा| Kismat ke hathon bandhe in nigahon ne, na jaane kya kya dekha... par dekha jise bas khune jigar pite dekha... pahle rothe the marne valon par.. ab aankhain chalak gayi jab kisi ko jite dekha
Friday, January 1, 2010
Yadon ki mehfil sajate rehta hun..
Aksar main khud se hi... batiyate rehta hun
Zindgi kya hey.. ye paheli suljhate rehta hun.
jo kisi soch par aa jaye milne koi aansu.
puch kar uska pata...
Yadon ki mehfil sajate rehta hun..
ab to Dard o gum se sikyat kabhi karta nahi
ke tanhaiyon main unhi se to sahara leta hun
lipta hun har yaad se ajijon ki tarah
fir chahe yaad wo befa ki hi ho sahi..
muskurakar aadab kar ta hun
Jo kisi soch par aajye koi aansu
puch kar uska pata.... yadon ki mehfil sajate rehta hun
Tuesday, December 29, 2009
Kaise kahun mujhe tera saath kaisa laga
Kaise kahun mujhe tera saath kaisa laga
Tujh Bin Jivan tha jaise... Ragistan Koi
Ragistan kahan se laye aise alfaj jo keh sakain... Use Savan ka saath Kaisa Laga.
Main Janta hun.. Ke tum koi Bhagwan ya khuda nahi
Raat Ko din or Din ko raat main badal nahi sakte
Magar Muskilon main...
vo tera dena mera saath...apne hathon main le mera haath
wo tumhara sparsh jaise hai jadu koi...
Fir har rasta aasan laga
Kaise Kahe bhatka musafir...
Use Manjil Pana kaisa laga...
Main janta hun Aksar Ruth jata hun main
Tum khuda ki mujh par inayat ho.. Fir bhi lad padta hun main\
Ahmiyat de de ta hun mu se jyada kabhi kabhi
choti chot baton ko... ke kya karun hun to Ek Insan hi...
Apne beach panpi Kadwahat ko
Apni sehansilta se Tumne Di mithas.. Har Baar
Kaise Kahe Koi .... Insan...
Use Swapnapari ka Saath Kaisa Laga.
Subscribe to:
Posts (Atom)