jeevan ki raah ke kuch palon ka anubhav...किस्मत के हाथों बँधे इन निगाहों ने ना जाने क्या क्या देखा.. पर देखा जिसे बस खूने जिगर पीते देखा, पहले रोते थे मरने वालों पर... अब आँखें छलक गयी जब किसी को जीते देखा| Kismat ke hathon bandhe in nigahon ne, na jaane kya kya dekha... par dekha jise bas khune jigar pite dekha... pahle rothe the marne valon par.. ab aankhain chalak gayi jab kisi ko jite dekha
Friday, January 1, 2010
Tuesday, December 29, 2009
Kaise kahun mujhe tera saath kaisa laga
Kaise kahun mujhe tera saath kaisa laga
Tujh Bin Jivan tha jaise... Ragistan Koi
Ragistan kahan se laye aise alfaj jo keh sakain... Use Savan ka saath Kaisa Laga.
Main Janta hun.. Ke tum koi Bhagwan ya khuda nahi
Raat Ko din or Din ko raat main badal nahi sakte
Magar Muskilon main...
vo tera dena mera saath...apne hathon main le mera haath
wo tumhara sparsh jaise hai jadu koi...
Fir har rasta aasan laga
Kaise Kahe bhatka musafir...
Use Manjil Pana kaisa laga...
Main janta hun Aksar Ruth jata hun main
Tum khuda ki mujh par inayat ho.. Fir bhi lad padta hun main\
Ahmiyat de de ta hun mu se jyada kabhi kabhi
choti chot baton ko... ke kya karun hun to Ek Insan hi...
Apne beach panpi Kadwahat ko
Apni sehansilta se Tumne Di mithas.. Har Baar
Kaise Kahe Koi .... Insan...
Use Swapnapari ka Saath Kaisa Laga.
गंगा स्नान को भी तो जाता हूँ main
Thokar lagti hey jahan jahan
Ek khawab naya sajata hun main...
or purane khwabon ki majar pe..
odha naye wadon ka kafan...
uski aatma ko sula deta hun main..
Thokar lagti hey jahan jahan...
Kehta hun logon ko, ke bhagna hey bujdilon ki nisani
Kehta hun logon ko....
Ke bhag jana hey Bujdilon ki nisani.
Keh ke jamane ko bujdil, khud so jata hun main.
Na samjhe kabhi koi.... Gunahgar Hamain
Na Samjhe kabhi koi... Gunahgar hamain
Ke... bahot mustaid hai Zameer yaraon mera
Gar kar bhi liya koi paap to kya..
gar Kar bhi liya koi paap to kya..
Har saal ganga snan ko bhi to jata hun main.
Subscribe to:
Posts (Atom)